MAA teri yaad aaj fir aai…
Ankhein meri aaj fir bhar aai..
Kabhi tera bo guss
honaa..
Kabhi tera bo datna…
Kabhi jor se mujh pe
chilana…
Or fir meri shararate
bhari shetaniyo ko dekh kar tera muskura janna…
Hass deta hu mai akele me bhi tera bo muskurata hua chehera
yaad karke..
Or ro bhi leta hu tera bo laad pyaar yaad karke..
Tere paas hota to man ki baat kehe leta..
Thoda khush ho leta or thoda man halka ho leta..
MAA teri yaad aaj fir aai…
Ankhein meri aaj fir bhar aai..
Tere paas hota to man pasand chizz banba kar me kha leta..
Tera pass hota to do nibale tere hatho se bhi chakh leta..
Tera bo khayal rakhna chotti chotti bato ko yaad dilnaa…
Pehele galti pe datna or fir baato ko samjhana...
Har chotti chizz ke liye teri bo salha dena..
Or tujhe aakar bo sari baate batana…
Harpal teri yaad dilata hai..
Tere pass ane ko jee chahata hai..
Tujhse gale lag kar ek baar man bhar ke rone ko jee chahata
hai..
Kio dur aa gaya me tujhse itna, ho jayega itna fasla kabhi socha na tha..
MAA teri yaad aaj fir aai..
Ankhein meri aaj fir bhar aai..